Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Megha Thakur Jul 2020
Tu ek khubsurat dhokha hai kadwi sahi par sachayi to maut hai,
Fir bhi mai tujhe hi chahta hu.

Aye zindgi na jane kyu,
Mai tujhe baar baar manata hu.

Apna har ek pal har ek lamha,
Dil khol kar jita jata hu.

Tujhse hai pyar beshumar,
Ye tujhe bina hichkichaahat btata hu.

Apni har galti se,
Mai kuch naya sikhta jata hu.

Ek tere karib ane ke khatir,
Apni har burayi ko dur bhagata hu.

Tere dil me jagah banane ke liye,
Kayi dafaa mai ghut bhi jata hu.

Kaise btau tujhe aye zindgi,
Ki mai tujhe kitna chahta hu.
-Megha Thakur
Agar muja moout ajy to usay kah dana,
Koi tha Jo usay yaad karta tha,
Koi tha Jo us ka laya jita or Marta tha,
Koi tha Jo Roz us ki yaad ma tarapta tha,
Koi tha Jo us ka khab dakhta tha,
Koi tha Jo uska name pir muskrata tha,
Koi tha jo har dua mein usay maangta tha,
Koi tha jo har dukh mein usay yaad karta tha,
Koi tha jo chand se uska noor maangta tha,
Koi tha jo khamoshi mein bhi usse baatein karta tha,
Bas itna kahna chata hon janab!..
Koi tha Jo tha, magar ab siraf ek yaad reh gaya janab ....

— The End —