Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sharina Saad May 2013
TOH ZINDA ** TUM.....
I feel like falling in love once again...
When I listen to this song...
I feel like a teenager again..
When I read the lyrics line by line...


Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe **.Toh zinda ** tum!


When you carry restlessness in your heart,
then you are ALIVE


Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe **
Toh zinda ** tum!

When you carry dreams in your sight,
then you are ALIVE


Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye

Learn to be free like the swaying air around you
Learn to flow like the tide flows with the water
Meet every moment of your life with open arms
and experience newness every second you live

Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe **
Toh zinda ** tum!
When you carry wonder in your eyes,
then you are ALIVE


Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe **
Toh zinda ** tum!
When you carry anxiety in your heart,
then you are ALIVE
This is my favourite Urdu language shayari(poem) by the famous Javed Akhtar.
Khuda ke dar ke siwa agar karni ** bandagi,
Mera sir jhuke mehboob ke aage jo hai meri zindagi.

Ibadat karti hu is sachhi mohabbat ki,
Mere humsafar ke bin ye jaan hai aduri si.

Chand roz chamakar intrane laga,
Mere chand ki tasveer dekh khomosh ** gaya.

Ajeeb si betaabi hai tere bina,
Tujh bin har ek pal ye dil ne gina.

Ashq behne lagte hain yaara,
Ek pal ki duri bhi nahi hai gavara.

Log jaate hain mandir masjid khuda ko talaashne,
Apna khuda ko khoj liya humsafar mein humne.

Jaam tou unke liye hai Jinhe nasha nahi hota,
Ishq ke rang is qadar hum par hai chadha.

Aapki yaadon ke nashe mein har lamha doobe rehte,
Is dil ki har dadhkan mein sirf mere mahadev baithe.

Mera khuda hai mere humsafar,
Humesha saath hai aapke chahe kaise ** manzar.

Karwate jitni marzi badal le aye zindagi,
Haskar dard chupane ki karigiri mashoor hai meri.

Par jab aap saamne aate,
Hum sudh budh ko baith te.

Har baat tumse hi befikra hokar aapse keh dete,
Ek aap hi tou hai duniya mein jo humein samajhte.

Dil ke har jazbaat ko bin kahe hi padh lete,
Aapse ek baat hum kehna chahte.

Kabhi udaas na hona aap humsesha aapke hain saath,
Majbooti se pakda hai humne aapka haath.

Saamne na sahi kahin aas-pass hi hu
Rooh se judi hai hamari aabru.

Kuch na kar payenge meelon dur ke faasle,
Palkein band kar dekhiye aapke dil mein baithe.

Aasmaan se farishta utarkar,
Dil mein sama gaye aakar.

Mohabbat hai hamari ibadat,
Aapke aane se mili dharti par jannat.
pnam Feb 2021
My love you taught me how to love
Feeling of love, that this heart showed
How many colors you spill, of love?
Reason for my love, you then asked?

Without you this life is so incomplete
Now when I realize how far away love was
Sheltering me in your heart such a treat
As beads of  love strung tenderly in gauze

At times  self-love seeks love from a stranger
At times a few moment with a loving heart is enough
At times to feel a heart dearer one has to live farther
In serendipity we met in love, leave me never in a huff

Think and despair not my cherished beloved
Must I say your love was so wondrous
I promise to be with you now and always beloved
You asked, I say all your concerns are needless

---

Hindi LanguageTranslation

Mere Humdum..

Pyaar aapne hume karna jo siklaya
Pyaar ka ehsas is dil ko jo diklaya
Kitne pyaar ke rang chalkathe hain aap?
Phir Pyaar ki vajah poochate hain aap?

Yeh zindagi to aapke bina adhuri thi
Ab maalum hua pyaar thak kitni doori thi
Aashiyana aapne dil mein basa kar hume diya hai
Pyaar ke har lamahe chun ke is dil ko piroya hai

Khud ko chaahne ke liye kabhi gairon ka pyaar chahiye
Dil ki nazdhikyon ke liye kabhi dooriyon ka ehsas chahiye
Kabhi chand lamhay kaafi hain aap jaise dil walon ke saath
Ittifaaq se milay ** meharbaan kabhi na chodna mera haath

    Bus Itna ab na sochiye mere jane-mehboob
    Dekhiye pyar kiya aapne bhi bahut khoob
    Zindagi aapke saath vada hai mere hum-safar
    Har sawalon ka jawab diya humnay aap rahe  be-fikar
Audio of this poem in Hindi converted to a song
https://suno.com/song/b88acc3f-97bb-4062-aea4-b4d1055ddcbd
Hrithik Hiran May 2020
Kabhi chale ** un raahon pe
Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare
Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang
Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang

Kabhi socha na tha ki
Akele bhi chalna padega kabhi
Goonjti hai woh awaaz tumhaari
Jab bhi chalta hu un raahon parr
Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi
Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari
Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein
Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone

Woh baarish..woh dhoop
Sabka kiya tha saamna
Jab haath tha tumne mera thaama
Kya Yaad hai woh fool
Jo tod laayi thi tum uss ped se
Mere yaadon ke Gulshan mein
Khila hai woh fool kabse
Hasrat toh dekhiye
Woh ped bhi na sambhal paaya
Mujhe akela dekhkar
Woh bhi murjhaaya

Yahin chalte waqt kaha tha na
Ki chodogi nahi yeh haath kabhi
Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi
Tumhaare usi saath ki khoj mein hu
Jise laga liya tha apne rooh se kabhi
Sahi kaha tha uss shaks ne ki
Manzil nahi raahon mein junoon pao
Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke
Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele
Kabhi Chalke dekhna
Inhi raahon pe akele
Yaad karna woh beetein hue qisse
Aur ** sake toh mudke dekhna
Dikhunga mein usi mod parr
Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar
Kyunki badal liye tumne apne raahein
Jo kabhi samajh na paayi
meri yeh fitoor nigaahein
Some roads remind you of that special someone... This is about one such road... (Hindi)
Makhfi Jun 2018
ANDEHRA BAHUT GEHRA THA...........
chandani bhi thi...kuch sitare bhi the..par na jane kyu  ...Andehra bahut gehra tha
Madhushala damak rahi thi andhe musafiron ki pukaar mein..par aawaz mein prem nahi tha bass thi do pal ke sukh ki duhai...
soot boot wale bhi aa rahe aur gir pad ke jaa rahe..
kuch motor pe aye the ussi par chale gaye....
andhe  thee sab shayad...ya roshini ne andere ko chupa diya tha....kyki meine dekha tha...andehra bahut gehra tha.                
madushala ke deewar ke par ek baachi roo rahi thi vo zindagi ki bhik mang rahi thi
na jane usne koon sa dukh dekha tha.....uski aanke laal aur maan bhari saa lag raha tha
Na vo matvale dekh paye na hum madhosh sunn paye uski pukar kyuki.... andehra bahut gehra tha
do matwalone uuse paise de chale..par kya vo uska guzara tha
kyuki sooch ke dekhiye andehri raat madhushala ke par vo baachi akeli thi
vo madhushala abhi bhi khadi hai..hamare dilo mein
shayad humne uska bachpan chiina
shayad vo andehra uske dukh ko chipa raha thi
vo raaat bahut kali thi..hawa matwali thi...uss raat aur anne wali raat andehra bahut gehra tha
pnam Apr 20
Pyaar jo aapne hume karna sikhaya,
Dil ne har ehsaas ko geet banaya...
Kitne pyaar ke rang chhalkaate hain aap,
Phir bhi pyaar ki wajah poochhte hain aap...

Aap ** saath... to hai roshni,  
Pyaar ka jaadoo... hai be-andaaz.  
Mere humdam, mere mehboob,  
Dua hai... har ek ehsaas mein,  
Sirf aap hi... aap saath **...  
Mere Humsafar... Mere Humsafar.

Aankhon mein sapne sajaaye chale,
Har saans mein mehka hai aapka naam.
Dil ki dhadkan yeh kehne lagi –
Aap ** saath, toh hai subah-o-shaam.

Aap ** saath... to hai roshni,  
Pyaar ka jaadoo... hai be-andaaz.  
Mere humdam, mere mehboob,  
Dua hai... har ek ehsaas mein,  
Sirf aap hi... aap saath **...  
Mere Humsafar... Mere Humsafar.

Aapke bina... yeh zindagi adhoori thi
Pyaar ki manzil mein kitni doori thi.
Dil mein aashiyaana aapne basa kar hume diya hai,
Har lamha pyaar ka... aapne dil mein piro diya hai.

Kabhi khud ko chaahne ke liye... gairon ka pyaar chahiye,
Kabhi dil ki nazdeekiyon ke liye... doori ka ehsaas chahiye.
Kabhi chand lamhe hi kaafi hote hain dilwaalon ke saath,
Ittifaaq se mile **, meherbaan – kabhi na chhodna mera haath.

Aap ** saath... to hai roshni,  
Pyaar ka jaadoo... hai be-andaaz.  
Mere humdam, mere mehboob,  
Dua hai... har ek ehsaas mein,  
Sirf aap hi... aap saath **...  
Mere Humsafar... Mere Humsafar.

Ab itna ab na sochiye, mere jaane-mehboob,
Dekhiye... pyaar kiya, aapne bhi bahut khoob.
Zindagi aapke saath – vaada hai mere humsafar,
Har sawalon ka jawaab diya, humne – aap rahe befikar.

-------------------------------------------------------­------------------------

English Translation...


You taught me the art of love so true,
My heart wove every feeling into a song for you.
How vividly you spill the colors of love’s hue,
Yet you ask me why I love you.

With you by my side… there’s a radiant light,
Love’s magic… boundless, infinite.
My companion, my beloved,
My prayer… in every feeling’s weave,
Only you, always you… by my side,
My soulmate… my soulmate.

In my eyes, dreams you’ve adorned and spun,
Your name scents every breath I’ve begun.
The heartbeat whispers, soft and clear –
With you near, dawn and dusk are ever dear.

With you by my side… there’s a radiant light,
Love’s magic… boundless, infinite.
My companion, my beloved,
My prayer… in every feeling’s weave,
Only you, always you… by my side,
My soulmate… my soulmate.

Without you… life was incomplete, a hollow space,
The path to love stretched far, a distant chase.
You built a home within my heart, gave it grace,
Every moment of love, you’ve strung in its place.
Sometimes, to love oneself, a stranger’s care we seek,
Sometimes, for closeness, distance makes the heart speak.
Sometimes, a fleeting moment with a kind soul is enough,
By chance we met, my gracious one – never let go of my hand, my love.


With you by my side… there’s a radiant light,
Love’s magic… boundless, infinite.
My companion, my beloved,
My prayer… in every feeling’s weave,
Only you, always you… by my side,
My soulmate… my soulmate.

Think no more, my cherished love, don’t stray,
Look… you’ve loved me too, in the most beautiful way.
Life with you – a promise, my eternal guide,
Every question answered, with you I abide, carefree by your side.
Audio song rendering here at suno.com
https://suno.com/song/9ed903ef-e863-4702-bdfb-5e6439b71e41

— The End —