Dil tu kyun ro raha hai
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Dil tu kyun ro raha hai
Jo khona tha, woh tu kho chuka hai
Ek kona hai bas ab tera
Wahin pe raat, wahin tere din
Wahin har saans ko aankhon se gin
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Dil tu aakhir kyun ro raha hai
Tera tha khula asmaan
Teri hi thi naadi, teri vaadiyaan
Tera hi toh tha yeh jahaan
Tujhka tujhse hi tha imtihaan
Aur tu na jaane kya khoj raha tha
Tu kahin toh pahunch raha tha
Ek kona hai bas ab tera
Wahin ab teri har arz sunsaan
Wahin ab dafan har karz, har toofaan
Khud ko khud se hi bhool raha hai
Ab toh veerane mein bhi tu doob raha hai
Tab se ab tak khud se hi jhoojh raha hai
Kya ab bas ek kona hi hai tera?
Dekh, wahan ek phool khila hai
Tere aansuon se seencha
Woh tujhse pooch raha hai —
Tu kyun ro raha hai?
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Jo khona tha, woh kho chuka hai
Ab bhi hai asmaan
Ab bhi woh naadi, woh vaadiyaan
Ab bhi hai yeh jahaan
Tera hi tujhse imtihaan
Tu kya soch raha hai
Sunn zara murshid kya bol raha hai
Kya bas ab ek kona hi hai tera?
Tujhko toh tera Khuda khoj raha hai
Ja, main hoon yahan —
Teri zameer, tera armaan
Teri kami, tera gunah
Tera nazeer, teri panah
Ja, main hoon yahan
Main hoon yahan.
I wrote this poem, or it wrote itself, I'm not sure.